Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
ku-e-qaatil mein basegi nai duniyaa ik aur
rose hotaa hai nayaa shahr-e-khamoshaan aabaad
کوئے قاتل میں بسے گی نئی دنیا اک اور
روز ہوتا ہے نیا شہر خموشاں آباد
कू-ए-क़ातिल में बसेगी नई दुनिया इक और
रोज़ होता है नया शहर-ए-ख़मोशाँ आबाद

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
dil ko khayaal-e-yaar ne makhmur kar diyaa
saaghar ko rang-e-baada ne pur-nur kar diyaa
ajiib dard saa us lamha-e-visaal mein thaa
ki zakhm se bhi baDaa karb indimaal mein thaa
apnaa ghar shahr-e-khamoshaan saa hai
kaun aaegaa yahaan shaam Dhale
naazuki khatm hai un par to ye farmaate hain
farsh-e-makhmal pe mire paaon chhile jaate hain