Shayari
inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
یہ وصل کی رت ہے کہ جدائی کا ہے موسم
یہ گلشن دل ہے کہ بیابان کہیں کا
ये वस्ल की रुत है कि जुदाई का है मौसम
ये गुलशन-ए-दिल है कि बयाबान कहीं का

inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein
aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main
ji chaahtaa hai jiinaa jazbaat ke mutaabiq
haalaat kar rahe hain haalaat ke mutaabiq
din mein aane lage hain khvaab mujhe
us ne bhejaa hai ik gulaab mujhe
le jaae jahaan chaahe havaa ham ko uDaa kar
TuuTe hue patton ki hikaayat hi alag hai
paDhtaa rahtaa huun aap kaa chehra
achchhi lagti hai ye kitaab mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ke zakhmon ko sajaane kaa hunar rakhtaa huun
mustaqil main tiri yaadon kaa safar rakhtaa huun
vaqt ke saath badalnaa to bahut aasaan thaa
mujh se har vaqt mukhaatib rahi ghairat meri
zaraa badlungaa is be-manzari ko
phir us ke baad mar jaaungaa main bhi
ek khabar hai tere liye
dil par patthar bhaari rakh