Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
ik ajab haal hai ki ab us ko
yaad karnaa bhi bevafaai hai
اک عجب حال ہے کہ اب اس کو
یاد کرنا بھی بے وفائی ہے
ik ajab haal hai ki ab us ko
yaad karnā bhī bevafā.ī hai

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jis ne buniyaad gulistaan ki kabhi Daali thi
us ko gulshan se guzarne nahin deti duniyaa
tum hamein yaad karo yaa na karo
ham tumhein yaad kiye jaate hain
ghanimat buujh levein mere dard-aalud naalon ko
ye divaana bahut yaad aaegaa shahri ghazaalon ko
taaaqub mein hai mere yaad kis ki
main kis ko bhuul jaanaa chaahtaa huun
ye kaisaa tanaaza hai ki faisal nahin hotaa
haq teraa ziyaada hai ki hukkaam kaa tere