Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
بہت نزدیک آتی جا رہی ہو
بچھڑنے کا ارادہ کر لیا کیا
bahut nazdīk aatī jā rahī ho
bichhaḌne kā irāda kar liyā kyā

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
us ke honThon pe rakh ke honTh apne
baat hi ham tamaam kar rahe hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-didaar kar chuke
dekhaa to ham mein taaqat-e-didaar bhi nahin
aaj phir mujh se kahaa dariyaa ne
kyaa iraada hai bahaa le jaaun
khush hote hain ham log agar koi hasina
is umr ham par koi tohmat hi lagaae
taab-o-taaqat rahe kyaa khaak ki aazaa ke taiin
haakim-e-zoaf se farmaan-e-taghiri aayaa