Shayari
khaak uD ke hamaari tire kuche mein pahunchti
taqdir thi ye bhi ki havaa bhi na chali aaj
J
Javed Lakhnvisurat na yuun dikhaae unhein baar baar chaand
paidaa kare hasinon mein kuchh e'tibaar chaand
صورت نہ یوں دکھائے انہیں بار بار چاند
پیدا کرے حسینوں میں کچھ اعتبار چاند
सूरत न यूँ दिखाए उन्हें बार बार चाँद
पैदा करे हसीनों में कुछ ए'तिबार चाँद
khaak uD ke hamaari tire kuche mein pahunchti
taqdir thi ye bhi ki havaa bhi na chali aaj
kahin aisaa na ho mar jaaun main hasrat hi hasrat mein
jo lenaa ho to le lo sab se pahle imtihaan meraa
shab-e-vasl kyaa jaane kyaa yaad aayaa
vo kuchh aap hi aap sharmaa rahe hain
tum paas jo aae kho gae ham
jab tum na mile to justuju ki
tumhein hai nashsha javaani kaa ham mein ghaflat-e-ishq
na ikhtiyaar mein tum ho na ikhtiyaar mein ham
tum diye jaao yunhi ham ko havaa daaman ki
ham se behosh nahin hosh mein aane vaale
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
use tum chaand se tashbih denaa
ki us ke haath mein khanjar khulaa thaa
saaqi nazar na aae to gardan jhukaa ke dekh
shishe mein maahtaab hai sach boltaa huun main
suraj sitaare chaand falak kahkashaan zamin
bas ik nazar mein dekh liye aasmaan zamin
saavan ki is rim-jhim mein
bhiig rahaa hai tanhaa chaand
kitnaa pyaaraa lagtaa hai
hotaa hai jab puuraa chaand