Shayari
suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
وہ چاند ہے تو عکس بھی پانی میں آئے گا
کردار خود ابھر کے کہانی میں آئے گا
वो चाँद है तो अक्स भी पानी में आएगा
किरदार ख़ुद उभर के कहानी में आएगा

suraj huun chamakne kaa bhi haq chaahiye mujh ko
main kohr mein lipTaa huun shafaq chaahiye mujh ko
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab tu darvaaze se apne naam ki takhti utaar
lafz nange ho gae shohrat bhi gaali ho gai
suraj huun zindagi ki ramaq chhoD jaaungaa
main Duub bhi gayaa to shafaq chhoD jaaungaa
baDh gayaa hai is qadar ab surkh-ru hone kaa shauq
log apne khuun se jismon ko tar karne lage
chaand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat kaa khel
jaise ho vaise raho bannaa bigaDnaa chhoDo
na chaand kaa na sitaaron na aaftaab kaa hai
savaal ab ke miri jaan tire javaab kaa hai
chaand bikhraa rahaa hai kirnon ko
kaun aataa hai sar ko nihuDaae
tumhaare husn ne har daanv mein use jiitaa
hazaar tarah se ghaT-baDh ke baazi haaraa chaand
duur jitnaa bhi chalaa jaae magar
chaand tujh saa to nahin ho saktaa
ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaayaa hai qamar ne chaandni kaa farsh mahfil mein