Shayari
aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
gham se ehsaas kaa aaina jilaa paataa hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
غم سے احساس کا آئینہ جلا پاتا ہے
اور غم سیکھے ہے آ کر یہ سلیقہ مجھ سے
ग़म से एहसास का आईना जिला पाता है
और ग़म सीखे है आ कर ये सलीक़ा मुझ से

aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
muddat se rahi farsh tiri raahguzar mein
tab jaa ke sitaaron se kahin aankh laDi hai
kaanTon pe chale hain to kahin phuul khile hain
phulon se mile hain to baDi choT lagi hai
ye to vaqt vaqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin
vo hon aaj ham se khafaa khafaa kabhu ham se un ko bhi pyaar thaa
dard ki aanch banaa deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin
aankh uThaao to hijaabaat kaa ik aalam hai
dil se dekho to koi raah mein haail bhi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hasti kaa zarra zarra taaraaj kar diyaa hai
us bevafaa ki khaatir us bevafaa ke gham mein
dard-e-sar mein hai kise sandal lagaane kaa dimaagh
us kaa ghisnaa aur lagaanaa dard-e-sar ye bhi to hai
sunte hi ho ke ham-aaghosh kahaa hans ke tujhe
dard-e-dil ki hai davaa aur bhi darkaar ki bas