Shayari
aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
dard ki aanch banaa deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin
درد کی آنچ بنا دیتی ہے دل کو اکسیر
درد سے دل ہے اگر درد نہیں دل بھی نہیں
दर्द की आँच बना देती है दिल को इक्सीर
दर्द से दिल है अगर दर्द नहीं दिल भी नहीं

aaj apne bhi paraae se nazar aate hain
pyaar ki rasm zamaane se uThi jaati hai
muddat se rahi farsh tiri raahguzar mein
tab jaa ke sitaaron se kahin aankh laDi hai
kaanTon pe chale hain to kahin phuul khile hain
phulon se mile hain to baDi choT lagi hai
ye to vaqt vaqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin
vo hon aaj ham se khafaa khafaa kabhu ham se un ko bhi pyaar thaa
gham se ehsaas kaa aaina jilaa paataa hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
aankh uThaao to hijaabaat kaa ik aalam hai
dil se dekho to koi raah mein haail bhi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne junun se ki jo 'asad' iltimaas-e-rang
khun-e-jigar mein ek hi ghota diyaa mujhe
mil kar tapaak se na hamein kijiye udaas
khaatir na kijiye kabhi ham bhi yahaan ke the
meri qismat mein gham gar itnaa thaa
dil bhi yaa-rab kai diye hote