Shayari
teri khushbu pyaar ke lahje mein bole to sahi
dil ki har dhaDkan ko ik chehra nayaa mil jaaegaa
kyuun maang rahe ho kisi baarish ki duaaein
tum apne shikasta dar-o-divaar to dekho
کیوں مانگ رہے ہو کسی بارش کی دعائیں
تم اپنے شکستہ در و دیوار تو دیکھو
क्यूँ माँग रहे हो किसी बारिश की दुआएँ
तुम अपने शिकस्ता दर-ओ-दीवार तो देखो

teri khushbu pyaar ke lahje mein bole to sahi
dil ki har dhaDkan ko ik chehra nayaa mil jaaegaa
mire vajud ke khushbu-nigaar sahraa mein
vo mil gae hain to mil kar bichhaD bhi sakte hain
daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho
us shakhs ke taaza lab-o-rukhsaar to dekho
kuchh mere dhaDakte hue dil ne bhi pukaaraa
kuchh aap ko baazaar mein dhokaa bhi huaa hai
miri shaairi mein chhup kar koi aur boltaa hai
sar-e-aaina jo dekhun to vo shakhs dusraa hai
mujh ko baDe khulus se barbaad kar diyaa
'jaazib' kisi ne ek havas-kaar ke liye
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aasmaan aisaa bhi kyaa khatra thaa dil ki aag se
itni baarish ek shole ko bujhaane ke liye
yaa abr-e-karam ban ke baras khushk zamin par
yaa pyaas ke sahraa mein mujhe jiinaa sikhaa de
qismat hi mein raushni nahin thi
baadal to kabhi kaa chhaT rahaa thaa
dasht phir kyon nahin rahe aabaad
abr aazaad hai havaa mahfuz
ye abr-e-nau hamaare kisi kaam kaa nahin
un ko pasand hi nahin baarish mein bhignaa