Shayari
taalluq hai na ab tark-e-taalluq
khudaa jaane ye kaisi dushmani hai
aap daaman ko sitaaron se sajaae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke sivaa kuchh bhi nahin
آپ دامن کو ستاروں سے سجائے رکھئے
میری قسمت میں تو پتھر کے سوا کچھ بھی نہیں
आप दामन को सितारों से सजाए रखिए
मेरी क़िस्मत में तो पत्थर के सिवा कुछ भी नहीं

taalluq hai na ab tark-e-taalluq
khudaa jaane ye kaisi dushmani hai
aakaash ki hasin fazaaon mein kho gayaa
main is qadar uDaa ki khalaaon mein kho gayaa
is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain
ab to chubhne lage aankhon mein ujaale mujh ko
log bhopal ki taarif kiyaa karte hain
is nagar mein to tire ghar ke sivaa kuchh bhi nahin
kyaa tire shahr ke insaan hain patthar ki tarah
koi naghma koi paayal koi jhankaar nahin
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
zamaana laakh sitaaron ko chhu ke aa jaae
abhi dilon ko magar haajat-e-rafu hai vahi
ham to raat kaa matlab samjhein khvaab, sitaare, chaand, charaagh
aage kaa ahvaal vo jaane jis ne raat guzaari ho
ye sach hai meri sadaa ne raushan kiye hain mehraab par sitaare
magar miri be-qaraar aankhon ne aaine kaa ziyaan kiyaa hai
chale the jis ki taraf vo nishaan khatm huaa
safar adhuraa rahaa aasmaan khatm huaa
aasmaanon ke khule baab kise dikhte hain
chashm-e-pur-aab ke girdaab kise dikhte hain