Shayari
pahle to chand log taraf-daar the mire
phir vo bhi vaqt thaa ki khudaa bhi usi kaa thaa
K
Khan Mohammad Khaleelkhud apne dil ki sadaa teri dastakon si lagi
gumaan mein thaa teraa aanaa qayaas aisaa thaa
خود اپنے دل کی صدا تیری دستکوں سی لگی
گماں میں تھا تیرا آنا قیاس ایسا تھا
ख़ुद अपने दिल की सदा तेरी दस्तकों सी लगी
गुमाँ में था तेरा आना क़यास ऐसा था
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kyuun tire dard ko dein tohmat-e-viraani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain
hans ke miltaa hai magar kaafi thaki lagti hain
us ki aankhein kai sadiyon ki jagi lagti hain