Shayari
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kyuun tire dard ko dein tohmat-e-viraani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain
کیوں ترے درد کو دیں تہمت ویرانیٔ دل
زلزلوں میں تو بھرے شہر اجڑ جاتے ہیں
क्यूँ तिरे दर्द को दें तोहमत-ए-वीरानी-ए-दिल
ज़लज़लों में तो भरे शहर उजड़ जाते हैं

kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
vo aksar din mein bachchon ko sulaa deti hai is Dar se
gali mein phir khilaune bechne vaalaa na aa jaae
Dhalte suraj ki tamaazat ne bikhar kar dekhaa
sar-kashida miraa saayaa saf-e-ashjaar ke biich
kal thake-haare parindon ne nasihat ki mujhe
shaam Dhal jaae to 'mohsin' tum bhi ghar jaayaa karo
sunaa hai shahar mein zakhmi dilon kaa mela hai
chaleinge ham bhi magar pairahan rafu kar ke
ab tak miri yaadon se miTaae nahin miTtaa
bhigi hui ik shaam kaa manzar tiri aankhein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chali samt-e-ghaib siin kyaa havaa ki chaman zuhur kaa jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
har raaste se manzil-e-hasti hai bahut duur
jaaegaa mire saath gham-e-yaar kahaan tak
inhein aankhon ne bedardi se be-ghar kar diyaa hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the