Shayari
sach ghaTe yaa baDhe to sach na rahe
jhuuT ki koi intihaa hi nahin
havas ne toD di barson ki saadhnaa meri
gunaah kyaa hai ye jaanaa magar gunaah ke baad
ہوس نے توڑ دی برسوں کی سادھنا میری
گناہ کیا ہے یہ جانا مگر گناہ کے بعد
हवस ने तोड़ दी बरसों की साधना मेरी
गुनाह क्या है ये जाना मगर गुनाह के बअ'द

sach ghaTe yaa baDhe to sach na rahe
jhuuT ki koi intihaa hi nahin
itne hisson mein baT gayaa huun main
mere hisse mein kuchh bachaa hi nahin
jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaaein
in dinon kaise bataaun jo fazaa hai mujh mein
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke
ho vaapsi agar to inhein raaston se ho
jin raaston se pyaar tiraa le gayaa mujhe
main jis ke haath mein ik phuul de ke aayaa thaa
usi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
baDi mushkil se ye jaanaa ki hijr-e-yaar mein rahnaa
bahut mushkil hai par aakhir mein aasaani bahut hai
namak bhar kar mire zakhmon mein tum kyaa muskuraate ho
mire zakhmon ko dekho muskuraanaa is ko kahte hain
khud apni diid se andhi hain aankhein
khud apni guunj se bahraa huaa huun