Shayari
itne hisson mein baT gayaa huun main
mere hisse mein kuchh bachaa hi nahin
main jis ke haath mein ik phuul de ke aayaa thaa
usi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai
میں جس کے ہاتھ میں اک پھول دے کے آیا تھا
اسی کے ہاتھ کا پتھر مری تلاش میں ہے
मैं जिस के हाथ में इक फूल दे के आया था
उसी के हाथ का पत्थर मिरी तलाश में है

itne hisson mein baT gayaa huun main
mere hisse mein kuchh bachaa hi nahin
jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaaein
in dinon kaise bataaun jo fazaa hai mujh mein
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke
ho vaapsi agar to inhein raaston se ho
jin raaston se pyaar tiraa le gayaa mujhe
main to ghazal sunaa ke akelaa khaDaa rahaa
sab apne apne chaahne vaalon mein kho gae
sach ghaTe yaa baDhe to sach na rahe
jhuuT ki koi intihaa hi nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
cigaretein chaae dhuaan raat gae tak bahsein
aur koi phuul saa aanchal kahin nam hotaa hai
ham ne ye soch ke chheDaa thaa fasaana gul kaa
is bahaane hi tire zikr kaa pahlu nikle
yuun chaar din ki bahaaron ke qarz utaare gae
tumhaare baa'd ke mausam faqat guzaare gae