Shayari
koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae
ki khud ko dekhaa nahin hai bahut zamaanon se
teri yaad kaa har manzar pas-manzar likhtaa rahtaa huun
dil ko varaq banaataa huun aur shab bhar likhtaa rahtaa huun
تیری یاد کا ہر منظر پس منظر لکھتا رہتا ہوں
دل کو ورق بناتا ہوں اور شب بھر لکھتا رہتا ہوں
तेरी याद का हर मंज़र पस-मंज़र लिखता रहता हूँ
दिल को वरक़ बनाता हूँ और शब भर लिखता रहता हूँ

koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae
ki khud ko dekhaa nahin hai bahut zamaanon se
hain saare inkishaaf apne hain saare mumkinaat apne
ham is duniyaa kaa saaraa ilm le jaaeinge saath apne
kuchh ghazlein un zulfon par hain kuchh ghazlein un aankhon par
jaane vaale dost ki ab ik yahi nishaani baaqi hai
oDh liyaa hai main ne libaadaa shishe kaa
ab mujh ko kisi patthar se Takraane do
kabhi dikhaa de vo manzar jo main ne dekhe nahin
kabhi to niind mein ai khvaab ke farishte aa
din chaDh aayaa kyon nahin aae jaaein un se puchh aaein
lekin un ke paas to ai dil koi bahaana hogaa hi
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
apni zanjir-e-paa ko dekhtaa huun
us ki paazeb yaad aati hai