Shayari
DhunDiye khair se jaa kar koi moTi sasuraal
haath jo muft mein aae to vo maal achchhaa hai
M
Machis Lakhnavinazm-e-jahaan ko zer-o-zabar dekhtaa huun main
maada ke ikhtiyaar mein nar dekhtaa huun main
نظم جہاں کو زیر و زبر دیکھتا ہوں میں
مادہ کے اختیار میں نر دیکھتا ہوں میں
नज़्म-ए-जहाँ को ज़ेर-ओ-ज़बर देखता हूँ मैं
मादा के इख़्तियार में नर देखता हूँ मैं
DhunDiye khair se jaa kar koi moTi sasuraal
haath jo muft mein aae to vo maal achchhaa hai
hukm begam ke chalaa karte hain jelar ki tarah
ab miraa ghar bhi mujhe jail huaa jaataa hai
aur to kuchh bhi nahin hazrat-e-'maachis' lekin
aap mein aag lagaane kaa kamaal achchhaa hai
buton par main agar maail huun vo huron pe maail hain
janaab-e-shaikh mein bhi ye himaaqat paai jaati hai
mire par us ko sau durre na kahiye phir to kyaa kahiye
tire aashiq ki mayyat doctor-khaane mein rakkhi hai
vaaiz ne mujh mein dekhi hai imaan ki kami
vaaiz mein sirf dum ki kasar dekhtaa huun main
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi