Shayari
ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
hain sau tariqe aur bhi ai be-qaraar dil
izhaar-e-shikva shikve ke andaaz mein na ho
ہیں سو طریقے اور بھی اے بے قرار دل
اظہار شکوہ شکوے کے انداز میں نہ ہو
हैं सौ तरीक़े और भी ऐ बे-क़रार दिल
इज़हार-ए-शिकवा शिकवे के अंदाज़ में न हो

ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
in se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein
hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein
kam-sini kyaa kam thi is par qahr hai shakki mizaaj
apnaa naavak mere dil se khinch kar dekhaa kiye
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
daaman-o-jeb-o-garebaan kaa nahin koi malaal
gham ye hai dast-e-junun kal ke liye kaam nahin
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jo pahle aankh se ojhal huaa thaa
vo ab dil se bhi rukhsat ho rahaa hai
dhuum naalon ne yahaan tak to machaai hai 'sharar'
bakht-e-khufta ko dil-e-zaar ne sone na diyaa
dil kaa lahu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain
dil mein jo dard hai vo nigaahon se hai ayaan
ye baat aur hai na kahein kuchh zabaan se ham