Shayari
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
vaabasta meri yaad se kuchh talkhiyaan bhi thiin
achchhaa kiyaa ki mujh ko faraamosh kar diyaa
وابستہ میری یاد سے کچھ تلخیاں بھی تھیں
اچھا کیا کہ مجھ کو فراموش کر دیا
वाबस्ता मेरी याद से कुछ तल्ख़ियाँ भी थीं
अच्छा किया कि मुझ को फ़रामोश कर दिया

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
us ke kamre se uThaa laayaa huun yaadein apni
khud paDaa rah gayaa lekin kisi almaari mein
ik vahi shakhs mujh ko yaad rahaa
jis ko samjhaa thaa bhuul jaaungaa
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
naam meraa yaad karke chuskiyon ke biich mein
kyaa hui hai chaae ke cup mein tire halchal kabhi
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae