Shayari
khaak se hai khaak ko ulfat taDaptaa huun 'anis'
karbalaa ke vaaste main karbalaa mere liye
aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko taan kar
dete hain ham ko sharbat-e-didaar chhaan kar
عاشق کو دیکھتے ہیں دوپٹے کو تان کر
دیتے ہیں ہم کو شربت دیدار چھان کر
आशिक़ को देखते हैं दुपट्टे को तान कर
देते हैं हम को शर्बत-ए-दीदार छान कर

khaak se hai khaak ko ulfat taDaptaa huun 'anis'
karbalaa ke vaaste main karbalaa mere liye
'anis' dam kaa bharosaa nahin Thahar jaao
charaagh le ke kahaan saamne havaa ke chale
tamaam umr jo ki ham se be-rukhi sab ne
kafan mein ham bhi azizon se munh chhupaa ke chale
'anis' aasaan nahin aabaad karnaa ghar mohabbat kaa
ye un kaa kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye vo bachche hain jo maan baap se paale na gae
sivaae khaak ke baaqi asar nishaan se na the
zamin se dab gae dabte jo aasmaan se na the
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aur bhi to hain zamaane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kyaa qaabil-e-ilzaam milaa
meri saj-dhaj to koi ishq-e-butaan mein dekhe
saath qashqe ke hai zunnaar-e-barahman kaisaa
ishq aur aql mein hui hai shart
jiit aur haar kaa tamaashaa hai
haakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni
ho ghazab hukm diyaa des nikaalaa karne
ghair taraf kyunki nazar kar sakun
khauf hai tujh ishq ke jaasus kaa