Shayari
nagri nagri phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apnaa paraayaa bhuul gayaa
gham ke bharose kyaa kuchh chhoDaa kyaa ab tum se bayaan karein
gham bhi raas aayaa dil ko aur hi kuchh saamaan karein
غم کے بھروسے کیا کچھ چھوڑا کیا اب تم سے بیان کریں
غم بھی راس آیا دل کو اور ہی کچھ سامان کریں
ग़म के भरोसे क्या कुछ छोड़ा क्या अब तुम से बयान करें
ग़म भी रास आया दिल को और ही कुछ सामान करें

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
haalat pe meri un ke bhi aansu nikal paDe
dekhaa gayaa na yaas mein aalam nigaah kaa
suukh gai jab aankhon mein pyaar ki niili jhiil 'qatil'
tere dard kaa zard samundar kaahe shor machaaegaa
ye kahaan ki dosti hai ki bane hain dost naaseh
koi chaarasaaz hotaa koi gham-gusaar hotaa