Shayari
aalam hai tire partav-e-rukh se ye hamaaraa
hairat se hamein shams-o-qamar dekh rahe hain
go qayaamat se peshtar na hui
tum na aae to kyaa sahar na hui
گو قیامت سے پیشتر نہ ہوئی
تم نہ آئے تو کیا سحر نہ ہوئی
गो क़यामत से पेशतर न हुई
तुम न आए तो क्या सहर न हुई

aalam hai tire partav-e-rukh se ye hamaaraa
hairat se hamein shams-o-qamar dekh rahe hain
din judaai kaa diyaa vasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
itni tauhin na kar meri balaa-noshi ki
saaqiyaa mujh ko na de maap ke paimaane se
kahnaa hi miraa kyaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
ye bhi tumhein dhokaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
ik baar us ne mujh ko dekhaa thaa muskuraa kar
itni to hai haqiqat baaqi kahaaniyaan hain
tum bhi karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhi kareinge sabr magar ikhtiyaar tak
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
hijr ki shab haath mein le kar charaagh-e-maahtaab
DhunDhtaa phirtaa huun gardun par sahar milti nahin
dekhnaa taa'bir mein har subh ko sahraa ki pyaas
raat ko phir apne khvaabon mein samundar dekhnaa
subh tak raat ki zanjir pighal jaaegi
log paagal hain sitaaron se ulajhnaa kaisaa
miT jaaegaa sehr tumhaari aankhon kaa
apne paas bulaa legi duniyaa ik din
pistaan ko tere dekh ke miT jaae phir hubaab
dariyaa mein taa-ba-sina agar tu nahaae subh