Shayari
aalam hai tire partav-e-rukh se ye hamaaraa
hairat se hamein shams-o-qamar dekh rahe hain
din judaai kaa diyaa vasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
دن جدائی کا دیا وصل کی شب کے بدلے
لینے تھے اے فلک پیر یہ کب کے بدلے
दिन जुदाई का दिया वस्ल की शब के बदले
लेने थे ऐ फ़लक-ए-पीर ये कब के बदले

aalam hai tire partav-e-rukh se ye hamaaraa
hairat se hamein shams-o-qamar dekh rahe hain
itni tauhin na kar meri balaa-noshi ki
saaqiyaa mujh ko na de maap ke paimaane se
kahnaa hi miraa kyaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
ye bhi tumhein dhokaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
ik baar us ne mujh ko dekhaa thaa muskuraa kar
itni to hai haqiqat baaqi kahaaniyaan hain
go qayaamat se peshtar na hui
tum na aae to kyaa sahar na hui
tum bhi karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhi kareinge sabr magar ikhtiyaar tak
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jis qadar nafrat baDhaai utni hi qurbat baDhi
ab jo mahfil mein nahin hai vo tumhaare dil mein hai
dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jaae qaraar
kal ye kuchh aur kahegaa mujhe maalum na thaa
laalach bhari mohabbat nazron se gir na jaae
bad-e'tiqaad dil ki jhuTi namaaz ho kar
main dil-e-girafta tujhe gungunaataa rahtaa huun
bahut dinon se mire yaar zer-e-lab hai tu