Shayari
vahshat to sang-o-khisht ki tartib le gai
ab fikr ye hai dasht ki vusat bhi le na jaae
yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare
ham to samajh rahe the sabhi zakhm bhar gae
یادوں کی رت کے آتے ہی سب ہو گئے ہرے
ہم تو سمجھ رہے تھے سبھی زخم بھر گئے
यादों की रुत के आते ही सब हो गए हरे
हम तो समझ रहे थे सभी ज़ख़्म भर गए

vahshat to sang-o-khisht ki tartib le gai
ab fikr ye hai dasht ki vusat bhi le na jaae
nikle kabhi na ghar se magar is ke baavajud
apni tamaam umr safar mein guzar gai
darvaaza koi ghar se nikalne ke liye de
be-khauf koi raasta chalne ke liye de
chubhan ye piiTh mein kaisi hai muD ke dekh to le
kahin koi tujhe pichhe se dekhtaa hogaa
gali ke moD se ghar tak andheraa kyuun hai 'nizaam'
charaagh yaad kaa us ne bujhaa diyaa hogaa
udaasi akele mein Dar jaaegi
ghaDi-do-ghaDi ko khushi bhej de
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vo bhiiD mein khaDaa hai jo patthar liye hue
kal tak miraa khudaa thaa mujhe itnaa yaad hai
shab kitni bojhal bojhal hai ham tanhaa tanhaa baiThe hain
aise mein tumhaari yaad aai jis tarah koi ilhaam aae
kabhi to sard lagaa dopahar kaa suraj bhi
kabhi badan ke liye ik kiran ziyaada hui
safar kaa marhala-e-sakht hi ghanimat thaa
Thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui