Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
hai aadmi bajaae khud ik mahshar-e-khayaal
ham anjuman samajhte hain khalvat hi kyuun na ho
ہے آدمی بجائے خود اک محشر خیال
ہم انجمن سمجھتے ہیں خلوت ہی کیوں نہ ہو
hai aadmī bajā.e ḳhud ik mahshar-e-ḳhayāl
ham anjuman samajhte haiñ ḳhalvat hī kyuuñ na ho

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
ik aag gham-e-tanhaai ki jo saare badan mein phail gai
jab jism hi saaraa jaltaa ho phir daaman-e-dil ko bachaaein kyaa
ye main thaa yaa mire andar kaa khauf thaa jis ne
tamaam umar di tanhaai ki sazaa mujh ko
sameT laataa huun moti tumhaari yaadon ke
jo khalvaton ke samundar mein Dubtaa huun main
ham bhi kisi shirin ke liye khaana-badar the
farhaad rah-e-ishq mein tanhaa to na niklaa
use baam-e-paziraai pe kaise chhoD duun ab
yahi tanhaai to mere liye siDhi bani hai
ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham saa charaagh
main nahin hungaa to tanhaai mein bujh jaaegaa