Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
jaante hain ham mohabbat-aazmaai ho chuki
aao lag jaao gale bas ab laDaai ho chuki
جانتے ہیں ہم محبت آزمائی ہو چکی
آؤ لگ جاؤ گلے بس اب لڑائی ہو چکی
जानते हैं हम मोहब्बत-आज़माई हो चुकी
आओ लग जाओ गले बस अब लड़ाई हो चुकी

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
laDne ke liye hai na nasihat ke liye hai
jis 'umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai
tum ko hazaar sharm sahi mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupaayaa na jaaegaa
karun qat-e-ulfat buton se va-lekin
ye kaafir miraa dil nahin maantaa hai