Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
saamne us ke na kahte magar ab kahte hain
lazzat-e-ishq gai ghair ke mar jaane se
سامنے اس کے نہ کہتے مگر اب کہتے ہیں
لذت عشق گئی غیر کے مر جانے سے
सामने उस के न कहते मगर अब कहते हैं
लज़्ज़त-ए-इश्क़ गई ग़ैर के मर जाने से

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhi tamannaa thi ki chaahe jaate