Shayari
sach bataa ishq mujhe sakht pareshaan huun main
kyuun khafaa hotaa nahin dost khataa par meri
M
Mohammad Tanviruzzamanjab tumhaari aarzu baaqi nahin
dil dhaDaktaa hai na jaane ke liye
جب تمہاری آرزو باقی نہیں
دل دھڑکتا ہے نہ جانے کے لئے
जब तुम्हारी आरज़ू बाक़ी नहीं
दिल धड़कता है न जाने के लिए
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
pahchaan jin se thi vo havaale miTaa diye
us ne kitaab-e-zaat kaa safha badal diyaa