Shayari
dushmanon ki dushmani mere liye aasaan thi
kharch aayaa doston ki mezbaani mein bahut
jab bhi vaalid ki jafaa yaad aai
apne daadaa ki khataa yaad aai
جب بھی والد کی جفا یاد آئی
اپنے دادا کی خطا یاد آئی
जब भी वालिद की जफ़ा याद आई
अपने दादा की ख़ता याद आई

dushmanon ki dushmani mere liye aasaan thi
kharch aayaa doston ki mezbaani mein bahut
apne dam se hai zamaane mein ghoTaalon kaa vajud
ham jahaan honge ghoTaale hi ghoTaale honge
dusri ne jo sambhaali chappal
pahli biivi ki vafaa yaad aai
jab huaa kaale kaa gore se milaap
mil gaiin taarikiyaan tanvir se
yahaan jitne hain apne baap ke hain
tumhaare baap kaa koi nahin hai
jal gayaa kaun mere hansne par
''ye dhuaan saa kahaan se uThtaa hai''
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
aa gai yaad shaam Dhalte hi
bujh gayaa dil charaagh jalte hi
lobaan mein chingaari jaise koi rakh jaae
yuun yaad tiri shab bhar siine mein sulagti hai
'jalil' aane lagi hain hichkiyaan kyuun
kahin main yaad farmaayaa gayaa huun
mere qaabu mein na pahron dil-e-naashaad aayaa
vo miraa bhulne vaalaa jo mujhe yaad aayaa