Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
ishq karne ke baad bhi kuchh log
ye samajhte hain kuchh kiyaa hi nahin
عشق کرنے کے بعد بھی کچھ لوگ
یہ سمجھتے ہیں کچھ کیا ہی نہیں
इश्क़ करने के बाद भी कुछ लोग
ये समझते हैं कुछ किया ही नहीं

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
donon laazim hain laa-zavaal bhi hain
ik tiraa husn ik miraa ye ishq
haar jaaegi zindagi lekin
haarne kaa nahin miraa ye ishq
is aql ki maari nagri mein kabhi paani aag nahin bantaa
yahaan ishq bhi log nahin karte yahaan koi kamaal nahin hotaa
ye kyuun kahte ho raah-e-ishq par chalnaa hai ham ko
kaho ki zindagi se ab faraaghat chaahiye hai