Shayari
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
جب بھی عقل بناتی ہے پہلا مصرع
دل کو مصرع ثانی ہونا پڑتا ہے
जब भी अक़्ल बनाती है पहला मिसरा
दिल को मिस्रा-ए-सानी होना पड़ता है

vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
mujh ko paane ki tamanna mein vo gharqaab huaa
main ne saahil ki tamanna mein use khoyaa hai
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tanhaai ko ghar se rukhsat kar to do
socho kis ke ghar jaaegi tanhaai
ab to aaraam karein sochti aankhein meri
raat kaa aakhiri taaraa bhi hai jaane vaalaa
shab ki tanhaaiyon mein yaad us ki
jhilmilaataa huaa diyaa jaise
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyaan nahin aatin
hamaari socho hamein hichkiyaan nahin aatin