Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
kuchh der to is aql ko aaraam diyaa jaae
ai ishq tujhe aaj koi kaam diyaa jaae
کچھ دیر تو اس عقل کو آرام دیا جائے
اے عشق تجھے آج کوئی کام دیا جائے
कुछ देर तो इस अक़्ल को आराम दिया जाए
ऐ इश्क़ तुझे आज कोई काम दिया जाए

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
maangti hai ab mohabbat apne hone kaa subut
aur main jaataa nahin izhaar ki tafsil mein
mohabbaton ke kai rang ruup hote hain
fareb-e-yaar se koi gila nahin karte
'aalam' dil-e-asir ko samjhaaun kis tarah
kam-bakht e'tibaar ke qaabil nahin hai vo
ham apne ishq ki ab aur kyaa shahaadat dein
hamein hamaare raqibon ne mo'tabar jaanaa