Shayari
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
bahr-e-ayaadat aae vo lekin qazaa ke saath
dam hi nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath
بہر عیادت آئے وہ لیکن قضا کے ساتھ
دم ہی نکل گیا مرا آواز پا کے ساتھ
बहर-ए-अयादत आए वो लेकिन क़ज़ा के साथ
दम ही निकल गया मिरा आवाज़-ए-पा के साथ

vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kuchh qafas mein in dinon lagtaa hai ji
aashiyaan apnaa huaa barbaad kyaa
shab jo masjid mein jaa phanse 'momin'
raat kaaTi khudaa khudaa kar ke
tu kahaan jaaegi kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal khvaab-e-adam mein shab-e-hijraan honge
na maanungaa nasihat par na suntaa main to kyaa kartaa
ki har har baat mein naaseh tumhaaraa naam letaa thaa
tum hamaare kisi tarah na hue
varna duniyaa mein kyaa nahin hotaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-duaa na kar
aate hain zindagi mein ye aalam kabhi kabhi
ham khudaa ke kabhi qaail hi na the
un ko dekhaa to khudaa yaad aayaa
izhaar ki ye bhi surat thi
khaamoshi ko fariyaad kiyaa
rahtaa nahin huun bojh kisi par ziyaada der
kuchh qarz thaa agar to adaa bhi huaa huun main
ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakeinge
tu yaad rahegaa hamein haan yaad rahegaa