Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
rahtaa nahin huun bojh kisi par ziyaada der
kuchh qarz thaa agar to adaa bhi huaa huun main
رہتا نہیں ہوں بوجھ کسی پر زیادہ دیر
کچھ قرض تھا اگر تو ادا بھی ہوا ہوں میں
rahtā nahīñ huuñ bojh kisī par ziyāda der
kuchh qarz thā agar to adā bhī huā huuñ maiñ

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ik vahi shakhs mujh ko yaad rahaa
jis ko samjhaa thaa bhuul jaaungaa
naam meraa yaad karke chuskiyon ke biich mein
kyaa hui hai chaae ke cup mein tire halchal kabhi
kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai
sukun itnaa saa kaafi hai zindagi ke liye
miTTi pe numudaar hain paani ke zakhire
in mein koi aurat se ziyaada nahin gahraa