Shayari
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
hai kuchh to baat 'momin' jo chhaa gai khamoshi
kis but ko de diyaa dil kyuun but se ban gae ho
ہے کچھ تو بات مومنؔ جو چھا گئی خموشی
کس بت کو دے دیا دل کیوں بت سے بن گئے ہو
है कुछ तो बात 'मोमिन' जो छा गई ख़मोशी
किस बुत को दे दिया दिल क्यूँ बुत से बन गए हो

vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kuchh qafas mein in dinon lagtaa hai ji
aashiyaan apnaa huaa barbaad kyaa
shab jo masjid mein jaa phanse 'momin'
raat kaaTi khudaa khudaa kar ke
tu kahaan jaaegi kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal khvaab-e-adam mein shab-e-hijraan honge
na maanungaa nasihat par na suntaa main to kyaa kartaa
ki har har baat mein naaseh tumhaaraa naam letaa thaa
tum hamaare kisi tarah na hue
varna duniyaa mein kyaa nahin hotaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
bhuul jaaun kis tarah qisse dil-e-nakhchir ke
hain nishaan baaqi abhi tak halqa-e-zanjir ke
us ke honTon pe shikaayat bhi to hoti hogi
dil lagaane ki ye surat bhi to hoti hogi
gardish-e-maah-o-saal se aage nikal gayaa huun main
jaise badal gae ho tum jaise badal gayaa huun main