Shayari
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kyaa milaa arz-e-muddaaa kar ke
baat bhi khoi iltijaa kar ke
کیا ملا عرض مدعا کر کے
بات بھی کھوئی التجا کر کے
क्या मिला अर्ज़-ए-मुद्दआ कर के
बात भी खोई इल्तिजा कर के

vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kuchh qafas mein in dinon lagtaa hai ji
aashiyaan apnaa huaa barbaad kyaa
shab jo masjid mein jaa phanse 'momin'
raat kaaTi khudaa khudaa kar ke
tu kahaan jaaegi kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal khvaab-e-adam mein shab-e-hijraan honge
na maanungaa nasihat par na suntaa main to kyaa kartaa
ki har har baat mein naaseh tumhaaraa naam letaa thaa
tum hamaare kisi tarah na hue
varna duniyaa mein kyaa nahin hotaa
dard aur dard bhi judaai kaa
aise bimaar ki duaa kab tak
du'aa hai ye raqib bhi miri tarah hi khvaar ho
main chaahtaa huun aap ki raqib se bani rahe
du'aaein maan ki pahunchaane ko milon-mil jaati hain
ki jab pardes jaane ke liye beTaa nikaltaa hai
duaaein kijiye ghunchon ke muskuraane ki
abhi umiid hai baaqi bahaar aane ki
ham sab ki jo duaa thi use sun liyaa gayaa
phulon ki tarah aap ko bhi chun liyaa gayaa
labon pe us ke kabhi bad-du'aa nahin hoti
bas ek maan hai jo mujh se khafaa nahin hoti