Shayari
bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
dard aur dard bhi judaai kaa
aise bimaar ki duaa kab tak
درد اور درد بھی جدائی کا
ایسے بیمار کی دعا کب تک
दर्द और दर्द भी जुदाई का
ऐसे बीमार की दुआ कब तक

bujhaaun kyaa charaagh-e-subh-gaahi
mire ghar shaam honi hai sahar se
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhi hon be-qaraar
donon taraf ho aag baraabar lagi hui
shirkat gunaah mein bhi rahe kuchh savaab ki
tauba ke saath toDiye botal sharaab ki
kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasaar
aur kuchh log bhi divaana banaa dete hain
samjheinge na aghyaar ko aghyaar kahaan tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheinge
ishq kyaa shai hai husn hai kyaa chiiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi apne hi gham se khaali kahaan hai
jahaan mein koi meraa gham-khvaar kyuun ho
ik nae gham se kinaaraa bhi to ho saktaa hai
ishq phir ham ko dobaaraa bhi to ho saktaa hai
hausle dard-bayaani ke nahin hote hain
ab yahaan lafz maaani ke nahin hote hain