Shayari
vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
uljhaa hai paanv yaar kaa zulf-e-daraaz mein
lo aap apne daam mein sayyaad aa gayaa
الجھا ہے پانوں یار کا زلف دراز میں
لو آپ اپنے دام میں صیاد آ گیا
उलझा है पाँव यार का ज़ुल्फ़-ए-दराज़ में
लो आप अपने दाम में सय्याद आ गया

vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibaah kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kuchh qafas mein in dinon lagtaa hai ji
aashiyaan apnaa huaa barbaad kyaa
shab jo masjid mein jaa phanse 'momin'
raat kaaTi khudaa khudaa kar ke
tu kahaan jaaegi kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal khvaab-e-adam mein shab-e-hijraan honge
na maanungaa nasihat par na suntaa main to kyaa kartaa
ki har har baat mein naaseh tumhaaraa naam letaa thaa
tum hamaare kisi tarah na hue
varna duniyaa mein kyaa nahin hotaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tu maujud hai main maadum huun is kaa matlab ye hai
tujh mein jo naapaid hai pyaare vo hai mayassar mujh mein
dosti pyaar vafaa aur khulus
mujhe lagte hain ye phande saare