Shayari
miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ai khaak-e-vatan tujh se main sharminda bahut huun
mahngaai ke mausam mein ye tyauhaar paDaa hai
اے خاک وطن تجھ سے میں شرمندہ بہت ہوں
مہنگائی کے موسم میں یہ تہوار پڑا ہے
ऐ ख़ाक-ए-वतन तुझ से मैं शर्मिंदा बहुत हूँ
महँगाई के मौसम में ये त्यौहार पड़ा है

miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ab aap ki marzi hai sambhaalein na sambhaalein
khushbu ki tarah aap ke rumaal mein ham hain
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kuchh nahin hogaa to aanchal mein chhupaa legi mujhe
maan kabhi sar pe khuli chhat nahin rahne degi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khulaa chhoD diyaa thaa
ye soch ke maan baap ki khidmat mein lagaa huun
is peD kaa saayaa mire bachchon ko milegaa
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
abhi to ek vatan chhoD kar hi nikle hain
hanuz dekhni baaqi hain hijratein kyaa kyaa
har mulk is ke aage jhuktaa hai ehtiraaman
har mulk kaa hai father hindostaan hamaaraa
khuun shahidaan-e-vatan kaa rang laa kar hi rahaa
aaj ye jannat-nishaan hindostaan aazaad hai
basaa-auqaat hurmat bhi qalam ki daav par rakh di
luTeron ko muhibbaan-e-vatan likhnaa paDaa mujh ko
chheDti hai mujhe aa aa ke miri aazaadi
go main qaidi huun mire paanv mein zanjir bhi hai