Shayari
bahut mushkil thaa jin ko DhunDnaa make-up ke malbe se
so andaaze se un kaa baankpan likhnaa paDaa mujh ko
basaa-auqaat hurmat bhi qalam ki daav par rakh di
luTeron ko muhibbaan-e-vatan likhnaa paDaa mujh ko
بسا اوقات حرمت بھی قلم کی داؤ پر رکھ دی
لٹیروں کو محبان وطن لکھنا پڑا مجھ کو
बसा-औक़ात हुर्मत भी क़लम की दाव पर रख दी
लुटेरों को मुहिब्बान-ए-वतन लिखना पड़ा मुझ को

bahut mushkil thaa jin ko DhunDnaa make-up ke malbe se
so andaaze se un kaa baankpan likhnaa paDaa mujh ko
chhoDaa hai jab se parda mardaa gai hai aurat
radd-o-badal hai kyaa kyaa ye arz phir karungaa
zulekhaaein ba-zid thiin ek yusuf ke liye yaaro
baDi hi garmi-e-baazaar thi kal shab jahaan main thaa
miri majburiyon ne naazuki kaa khuun kar Daalaa
har ik gobhi-badan ko gul-badan likhnaa paDaa mujh ko
pata mushkil se chaltaa hai muzakkar aur muannas kaa
kabhi maalum hotaa hai kabhi maalum hoti hai
hamaari umr ab aisi hai ham siiTi nahin sunte
rukaa karte the khush ho kar kabhi siiTi bajaane par
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
ai khaak-e-vatan tujh se main sharminda bahut huun
mahngaai ke mausam mein ye tyauhaar paDaa hai
shahidon kaa tire shohra zamin se aasmaan tak hai
falak se balki aage baDh ke tere aastaan tak hai
vo phuul sar chaDhaa jo chaman se nikal gayaa
izzat use mili jo vatan se nikal gayaa
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal