Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
shukr hai jaama se baahar vo huaa ghusse mein
jo ki parde mein bhi uryaan na huaa thaa so huaa
شکر ہے جامہ سے باہر وہ ہوا غصہ میں
جو کہ پردے میں بھی عریاں نہ ہوا تھا سو ہوا
शुक्र है जामा से बाहर वो हुआ ग़ुस्से में
जो कि पर्दे में भी उर्यां न हुआ था सो हुआ

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
'khumaar' aise safar mein aankh chhin jaati to achchhaa thaa
kahin shaakhon kaa saudaa aur kahin dekhaa shajar luTtaa
zindagaani ke hasin shahr mein aa kar 'jaami'
zindagaani se kahin haath milaae bhi nahin
tiraa bakhshaa huaa ik zakhm pyaare
chali ThanDi havaa jalne lagaa hai
masihaa maan baiThaa hai vo khud ko
use kuchh zakhm kyaa dikhlaa diye hain