Shayari
ghazal lutf-o-asar paa kar ba-tarz-e-'mir' raqsaan hai
chalo barpaa karein mahfil chalo dekhein sharar luTtaa
K
Khumar Qureshi'khumaar' aise safar mein aankh chhin jaati to achchhaa thaa
kahin shaakhon kaa saudaa aur kahin dekhaa shajar luTtaa
خمارؔ ایسے سفر میں آنکھ چھن جاتی تو اچھا تھا
کہیں شاخوں کا سودا اور کہیں دیکھا شجر لٹتا
'ख़ुमार' ऐसे सफ़र में आँख छिन जाती तो अच्छा था
कहीं शाख़ों का सौदा और कहीं देखा शजर लुटता
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae