Shayari
ham se kahaa gayaa thaa ki raani baneingi aap
yaa'ni ki khud ko pahle hi raajaa kahaa gayaa
masihaa maan baiThaa hai vo khud ko
use kuchh zakhm kyaa dikhlaa diye hain
مسیحا مان بیٹھا ہے وہ خود کو
اسے کچھ زخم کیا دکھلا دئے ہیں
मसीहा मान बैठा है वो ख़ुद को
उसे कुछ ज़ख़्म क्या दिखला दिए हैं

ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi