Shayari
jigar kisi kaa jale dil jale dimaagh jale
vo kah gae hain ki aaeinge ham charaagh jale
M
Mustafa Khan Yakrangna kaho ye ki yaar jaataa hai
meraa sabr-o-qaraar jaataa hai
نہ کہو یہ کہ یار جاتا ہے
میرا صبر و قرار جاتا ہے
न कहो ये कि यार जाता है
मेरा सब्र-ओ-क़रार जाता है
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
naslein vahshi ho jaati hain yaar hifaazat karne mein
khush hone ki baat nahin hai sahraa ki sultaani par