Shayari
maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
ham gunaahon se pashemaan rahaa karte hain
nazzaara-e-qaatil ne kiyaa mahv ye ham ko
gardan pe chamakti hui shamshir na sujhi
نظارۂ قاتل نے کیا محو یہ ہم کو
گردن پہ چمکتی ہوئی شمشیر نہ سوجھی
नज़्ज़ारा-ए-क़ातिल ने किया महव ये हम को
गर्दन पे चमकती हुई शमशीर न सूझी

maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
ham gunaahon se pashemaan rahaa karte hain
raunaq gulshan jo vo rind-e-sharaabi ho gayaa
phuul saaghar ban gayaa ghuncha gulaabi ho gayaa
vaah kyaa us gul-badan kaa shokh hai rang-e-badan
jaama-e-aabi agar pahnaa gulaabi ho gayaa
kaabe chaltaa huun par itnaa to bataa
mai-kada koi hai zaahid raah mein
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
fardaa ko duur hi se hamaaraa salaam hai
dil apnaa shaam hi se charaagh-e-sahar huaa
dho ke tu meraa lahu apne hunar ko na chhupaa
ki ye surkhi tiri shamshir kaa jauhar hi to hai