Shayari
ishq ki azmatein bajaa lekin
ishq hi maqsad-e-hayaat nahin
N
Naseer Arzooaao tajdid-e-vafaa phir se karein ham varna
baat kuchh aur ulajh jaaegi suljhaane se
آؤ تجدید وفا پھر سے کریں ہم ورنہ
بات کچھ اور الجھ جائے گی سلجھانے سے
आओ तजदीद-ए-वफ़ा फिर से करें हम वर्ना
बात कुछ और उलझ जाएगी सुलझाने से
ishq ki azmatein bajaa lekin
ishq hi maqsad-e-hayaat nahin
ab na chaaheinge kisi aur ko taslim magar
faaeda kyaa hai mire sar ki qasam khaane se
jigar mein dard to hai dil mein iztiraab to hai
tumhaare gham mein miri zindagi kharaab to hai
un se maayus-e-iltifaat nahin
go ba-zaahir tavaqquaat nahin
bevafaa umr daghaabaaz javaani nikli
na yahi rahti hai zaalim na vahi rahti hai
baad khat aane ke us se thaa vafaa kaa ehtimaal
lek vaan tak umr ne apni vafaadaari na ki
vafaa-shiaar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aaj usi bevafaa ki baat karein
qissa chheDaa mehr o vafaa kaa avval-e-shab un aaankhon ne
raat kaTi aur umr guzaari phir bhi baat adhuri thi
main to khudaa ke saath vafaadaar bhi rahaa
ye zaat kaa tilism magar TuTtaa nahin
ek muddat mein parakhne kaa shuur aataa hai
bevafaa kah duun unhein pahli nazar mein kaise