Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hichkiyaan raat dard tanhaai
aa bhi jaao tasalliyaan de do
ہچکیاں رات درد تنہائی
آ بھی جاؤ تسلیاں دے دو
हिचकियाँ रात दर्द तन्हाई
आ भी जाओ तसल्लियाँ दे दो

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr mein koi to gham-khvaar hamaaraa hotaa
gham azizon kaa hasinon ki judaai dekhi
dekhein dikhlaae abhi gardish-e-dauraan kyaa kyaa