Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
is se baDh kar aur kyaa ho ishq mein divaangi
main ne tere hijr mein ik ashk ko dariyaa kiyaa
اس سے بڑھ کر اور کیا ہو عشق میں دیوانگی
میں نے تیرے ہجر میں اک اشک کو دریا کیا
इस से बढ़ कर और क्या हो इश्क़ में दीवानगी
मैं ने तेरे हिज्र में इक अश्क को दरिया किया

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
Thukraao ab ki pyaar karo main nashe mein huun
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein huun
maangti hai ab mohabbat apne hone kaa subut
aur main jaataa nahin izhaar ki tafsil mein
mohabbaton ke kai rang ruup hote hain
fareb-e-yaar se koi gila nahin karte
is raah-e-mohabbat mein tu saath agar hotaa
har gaam pe gul khilte khushbu kaa safar hotaa