Shayari
jab vo saath hotaa hai
ham akele hote hain
ubhar rahe hain kai haath shab ke parde se
koi sitaara liye koi maahtaab liye
ابھر رہے ہیں کئی ہاتھ شب کے پردے سے
کوئی ستارہ لیے کوئی ماہتاب لیے
उभर रहे हैं कई हाथ शब के पर्दे से
कोई सितारा लिए कोई माहताब लिए

jab vo saath hotaa hai
ham akele hote hain
khvaab kyaa thaa jo mire sar mein rahaa
raat bhar ik shor saa ghar mein rahaa
rang laai hai hasrat-e-taamir
gir rahi hain imaaratein kyaa kyaa
patthar hotaa jaataa huun
hansne do yaa rone do
nayaa libaas pahan kar bhi
duniyaa vahi puraani hai
yuun tujhe dekh ke chaunk uThti hain soi yaadein
jaise sannaaTe mein aavaaz lagaa de koi
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
us ko aanaa thaa ki vo mujh ko bulaataa thaa kahin
raat bhar baarish thi us kaa raat bhar paighaam thaa
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho