Shayari
havaa-e-sabz chali hai mire khayaalon mein
banaa rahaa hai gulistaan miri qabaa shaayad
bane hain ek sitaare ki khaak se shaayad
ki donon raqs mein rahte hain aur saakin hain
بنے ہیں ایک ستارے کی خاک سے شاید
کہ دونوں رقص میں رہتے ہیں اور ساکن ہیں
बने हैं एक सितारे की ख़ाक से शायद
कि दोनों रक़्स में रहते हैं और साकिन हैं

zamaana laakh sitaaron ko chhu ke aa jaae
abhi dilon ko magar haajat-e-rafu hai vahi
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
falak ki khabar kab hai naa-shaairon ko
yunhi ghar mein baiThe havaa baandhte hain
main tujhe phir zamin dikhaaungaa
dekh mujh se na aasmaan bigaD
kyaa mire haal pe sach-much unhein gham thaa qaasid
tu ne dekhaa thaa sitaara sar-e-mizhgaan koi