Shayari
bane hain ek sitaare ki khaak se shaayad
ki donon raqs mein rahte hain aur saakin hain
havaa-e-sabz chali hai mire khayaalon mein
banaa rahaa hai gulistaan miri qabaa shaayad
ہواۓ سبز چلی ہے مرے خیالوں میں
بنا رہا ہے گلستاں مری قبا شاید
हवा-ए-सब्ज़ चली है मिरे ख़यालों में
बना रहा है गुलिस्ताँ मिरी क़बा शायद

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khvaab ki taabir bataane vaalaa
ai sanam tu vo kanhayyaa hai balaaein luun agar
baansuli ki tarah naalaan hon saraapaa ungliyaan
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand